kisi ki chah mein had se guzar gae hote
kisī kī chaah meñ had se guzar ga.e hote
to naam saare zamāne meñ kar ga.e hote
hamārī pyaas kī rakh lī hai laaj sahrā ne
samundaroñ ke sahāre to mar ga.e hote
jo mere siina pe hañs ke vo haath rakh dete
to zaḳhm dil ke sabhī mere bhar ga.e hote
kisī kī yaad ne ham ko sañbhāl rakhā hai
vagarna hijr meñ kab ke hī mar ga.e hote
tumhārī yādoñ ke saare hī rang pakke haiñ
jo hote kachche to kab ke utar ga.e hote
hameñ to maañ kī du'āoñ kā hī sahārā hai
nahīñ to sahrā meñ 'sābir' bikhar ga.e hote
kisi ki chah mein had se guzar gae hote
to nam sare zamane mein kar gae hote
hamari pyas ki rakh li hai laj sahra ne
samundaron ke sahaare to mar gae hote
jo mere sina pe hans ke wo hath rakh dete
to zaKHm dil ke sabhi mere bhar gae hote
kisi ki yaad ne hum ko sanbhaal rakha hai
wagarna hijr mein kab ke hi mar gae hote
tumhaari yaadon ke sare hi rang pakke hain
jo hote kachche to kab ke utar gae hote
hamein to man ki du'aon ka hi sahaara hai
nahin to sahra mein 'sabir' bikhar gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.