kisi ki chashm-e-fusun-gar ne jab se taka hai
kisī kī chashm-e-fusūñ-gar ne jab se taakā hai
kuchh apnī sudh na rahī hai ġhazab ḳhudā kā hai
musībatoñ kī koī had nahīñ ḳhudā kī panāh
jab aañkh khultī hai bas sāmnā balā kā hai
kisī ġharīb ke ghar kā charāġh gul kar ke
sanak rahī hai bahut hausla havā kā hai
kareñ to kis se kareñ apnī gumrahī kā gila
ki qāfile kā bharosa na rahnumā kā hai
bhañvar meñ chhoḌ ga.e nāḳhudā safīne ko
ab aasrā hai to bas aasrā ḳhudā kā hai
chalī jo aa.ī dabe paañv phuul kī ḳhushbū
qafas-nasīboñ pe ehsān ye sabā kā hai
ulajh rahā hai zamāna fuzūl 'bismil' se
gunāhgār agar hai bhī to ḳhudā kā hai
kisi ki chashm-e-fusun-gar ne jab se taka hai
kuchh apni sudh na rahi hai ghazab KHuda ka hai
musibaton ki koi had nahin KHuda ki panah
jab aankh khulti hai bas samna bala ka hai
kisi gharib ke ghar ka charagh gul kar ke
sanak rahi hai bahut hausla hawa ka hai
karen to kis se karen apni gumrahi ka gila
ki qafile ka bharosa na rahnuma ka hai
bhanwar mein chhoD gae naKHuda safine ko
ab aasra hai to bas aasra KHuda ka hai
chali jo aai dabe panw phul ki KHushbu
qafas-nasibon pe ehsan ye saba ka hai
ulajh raha hai zamana fuzul 'bismil' se
gunahgar agar hai bhi to KHuda ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.