kisi ki dastan-dar-dastan se kuchh nahin hota
Interesting Fact
(May 27, 1960)
kisī kī dāstāñ-dar-dāstāñ se kuchh nahīñ hotā
asar jab tak na ho husn-e-bayāñ se kuchh nahīñ hotā
yaqīñ kī manziloñ meñ īn-o-āñ se kuchh nahīñ hotā
gumāñ kitnā hī baḌh jaa.e gumāñ se kuchh nahīñ hotā
talab sādiq nahīñ to nā-rasā.ī kī shikāyat kyā
na jab tak dil kī shirkat ho zabāñ se kuchh nahīñ hotā
pighal jaatā hai patthar bhī pighal jaatā hai aahan bhī
ye kis ne kah diyā soz-e-nihāñ se kuchh nahīñ hotā
hijāb-e-darmiyāñ se diid kā armān baḌhtā hai
adā matlab hijāb-e-darmiyāñ se kuchh nahīñ hotā
jise marnā nahīñ aatā use jiinā nahīñ aatā
dil-e-be-his hayāt-e-jāvidāñ se kuchh nahīñ hotā
raqam farmā.iye ḳhūn-e-jigar se dāstāñ apnī
kabhī arz-e-hadīs-e-dīgarāñ se kuchh nahīñ hotā
badalte jā rahe haiñ dam-ba-dam ā.īn-e-mai-ḳhāna
mayān-e-mai-kadā pīr-e-muġhāñ se kuchh nahīñ hotā
rihā.ī ke liye bhī fikr kuchh ai bulbul-e-nādāñ
qafas meñ sirf yād-e-āshiyāñ se kuchh nahīñ hotā
jo Thokar mārtā hai ye usī ke paañv paḌtī hai
ye duniyā hai yahāñ āh-o-fuġhāñ se kuchh nahīñ hotā
ibādat ke liye iḳhlās kī be-had zarūrat hai
na ho rūh-e-bilālī to azaañ se kuchh nahīñ hotā
jo hotā hai mashiyyat ke ishāre se vo hotā hai
kisī nā-mehrbāñ yā mehrbāñ se kuchh nahīñ hotā
bahar-unvān ho kar hī rahegā vo jo honā hai
tire andesha-e-sūd-o-ziyāñ se kuchh nahīñ hotā
nahīñ chaltī kisī ke sāmne 'tālib' nahīñ chaltī
nazar se kuchh nahīñ hotā zabāñ se kuchh nahīñ hotā
kisi ki dastan-dar-dastan se kuchh nahin hota
asar jab tak na ho husn-e-bayan se kuchh nahin hota
yaqin ki manzilon mein in-o-an se kuchh nahin hota
guman kitna hi baDh jae guman se kuchh nahin hota
talab sadiq nahin to na-rasai ki shikayat kya
na jab tak dil ki shirkat ho zaban se kuchh nahin hota
pighal jata hai patthar bhi pighal jata hai aahan bhi
ye kis ne kah diya soz-e-nihan se kuchh nahin hota
hijab-e-darmiyan se did ka arman baDhta hai
ada matlab hijab-e-darmiyan se kuchh nahin hota
jise marna nahin aata use jina nahin aata
dil-e-be-his hayat-e-jawidan se kuchh nahin hota
raqam farmaiye KHun-e-jigar se dastan apni
kabhi arz-e-hadis-e-digaran se kuchh nahin hota
badalte ja rahe hain dam-ba-dam aain-e-mai-KHana
mayan-e-mai-kada pir-e-mughan se kuchh nahin hota
rihai ke liye bhi fikr kuchh ai bulbul-e-nadan
qafas mein sirf yaad-e-ashiyan se kuchh nahin hota
jo Thokar marta hai ye usi ke panw paDti hai
ye duniya hai yahan aah-o-fughan se kuchh nahin hota
ibaadat ke liye iKHlas ki be-had zarurat hai
na ho ruh-e-bilali to azan se kuchh nahin hota
jo hota hai mashiyyat ke ishaare se wo hota hai
kisi na-mehrban ya mehrban se kuchh nahin hota
bahar-unwan ho kar hi rahega wo jo hona hai
tere andesha-e-sud-o-ziyan se kuchh nahin hota
nahin chalti kisi ke samne 'talib' nahin chalti
nazar se kuchh nahin hota zaban se kuchh nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.