kisi ki jab se jafaon ka silsila na raha
kisī kī jab se jafāoñ kā silsila na rahā
dil-e-hazīñ meñ mohabbat kā hausla na rahā
dayār-e-husn meñ miltī nahīñ hai jins-e-vafā
dil-e-ġharīb kā ab un se vāsta na rahā
havā-e-yās ne sham-e-umīd gul kar dī
kisī se ab koī shikva bhī barmalā na rahā
mirī nazar kā taqāzā bhalā vo kyā samjheñ
ki husn-o-ishq meñ pahlā sā rābta na rahā
ujaḌ gayā hai kuchh is tarah ab dayār-e-vafā
kahīñ bhī merī tamannā kā naqsh-e-pā na rahā
ḳhudī na ho sakī minnat-kash-e-nashāt-e-vafā
hamārā haath kabhī mā.il-e-duā na rahā
'kalīm' kaun musībat meñ kis kā hotā hai
dayār-e-dost meñ koī bhī āshnā na rahā
kisi ki jab se jafaon ka silsila na raha
dil-e-hazin mein mohabbat ka hausla na raha
dayar-e-husn mein milti nahin hai jins-e-wafa
dil-e-gharib ka ab un se wasta na raha
hawa-e-yas ne sham-e-umid gul kar di
kisi se ab koi shikwa bhi barmala na raha
meri nazar ka taqaza bhala wo kya samjhen
ki husn-o-ishq mein pahla sa rabta na raha
ujaD gaya hai kuchh is tarah ab dayar-e-wafa
kahin bhi meri tamanna ka naqsh-e-pa na raha
KHudi na ho saki minnat-kash-e-nashat-e-wafa
hamara hath kabhi mail-e-dua na raha
'kalim' kaun musibat mein kis ka hota hai
dayar-e-dost mein koi bhi aashna na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.