kisi ki KHatir ho phul sawan
kisī kī ḳhātir ho phuul sāvan
mire liye to babūl sāvan
na jaane kab thā ye paanī paanī
hai is baras dhuul dhuul sāvan
barahna peḌoñ se jaate jaate
ḳhirāj kar le vasūl sāvan
tū bārah barsoñ ke baad aatā
duā jo hotī qubūl sāvan
zarūr āye.gā koī kal tak
de ḳhud ko thoḌā sā tuul sāvan
use to phāñsī pe jhūlnā hai
tū apne jhūle pe jhuul sāvan
'niyāzī' dil ho ki peḌ sab ko
gayā hai kar ke malūl sāvan
kisi ki KHatir ho phul sawan
mere liye to babul sawan
na jaane kab tha ye pani pani
hai is baras dhul dhul sawan
barahna peDon se jate jate
KHiraj kar le wasul sawan
tu barah barson ke baad aata
dua jo hoti qubul sawan
zarur aayega koi kal tak
de KHud ko thoDa sa tul sawan
use to phansi pe jhulna hai
tu apne jhule pe jhul sawan
'niyazi' dil ho ki peD sab ko
gaya hai kar ke malul sawan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.