kisi ki KHush-rang guftugu ki miThas sheron mein Dhal gai hai
kisi ki KHush-rang guftugu ki miThas sheron mein Dhal gai hai
Mohammad Mubashshir Mayo
MORE BYMohammad Mubashshir Mayo
kisī kī ḳhush-rañg guftugū kī miThās sheroñ meñ Dhal ga.ī hai
hamārī āñkhoñ ke ḳhvāb-dāñ se tumhārī sūrat nikal ga.ī hai
hamārā kyā hai hamārī sochoñ ko noch khā.eñge ye parinde
hamārī chaupāl ke shajar ko ġhulām dīmak nigal ga.ī hai
koī batāo ki ahl-e-fan ke zamīr murda hue haiñ kab se
ki is galī ke ġharīb bachchoñ ke saath ġhurbat bhī pal ga.ī hai
usī kā jurm ab usī kī izzat ke saath khilvāḌ kar rahā hai
usī kī tāqat amīr-zāde ke muñh pe kālak sī mal ga.ī hai
guzishta shab mere paas baiThā tumhārā ġham mujh pe hañs rahā thā
vo kah rahā thā ki duur jā kar tumhārī paglī badal ga.ī hai
kisi ki KHush-rang guftugu ki miThas sheron mein Dhal gai hai
hamari aankhon ke KHwab-dan se tumhaari surat nikal gai hai
hamara kya hai hamari sochon ko noch khaenge ye parinde
hamari chaupal ke shajar ko ghulam dimak nigal gai hai
koi batao ki ahl-e-fan ke zamir murda hue hain kab se
ki is gali ke gharib bachchon ke sath ghurbat bhi pal gai hai
usi ka jurm ab usi ki izzat ke sath khilwaD kar raha hai
usi ki taqat amir-zade ke munh pe kalak si mal gai hai
guzishta shab mere pas baiTha tumhaara gham mujh pe hans raha tha
wo kah raha tha ki dur ja kar tumhaari pagli badal gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.