kisi ki mehndi ka rang hathon se dho bhi sakta hai aur nahin bhi
kisi ki mehndi ka rang hathon se dho bhi sakta hai aur nahin bhi
Shahbaz Nayyar
MORE BYShahbaz Nayyar
kisī kī mehñdī kā rang hāthoñ se dho bhī saktā hai aur nahīñ bhī
vo dil se chāhe jo merā honā to ho bhī saktā hai aur nahīñ bhī
jo shaam Dhalte hī merī āñkhoñ meñ jhilmilātā hai chāñd ban kar
vo apne siine meñ merī dhaḌkan samo bhī saktā hai aur nahīñ bhī
jo apne zaḳhmoñ ko merī nazroñ se duur rakhne kā sochtā hai
vo merī palkoñ kī narm chhāñv meñ so bhī saktā hai aur nahīñ bhī
agarche tūfān-e-ashk ham ko tumhāre ġham ne atā kiyā hai
magar ye tūfān apnī kashtī Dubo bhī saktā hai aur nahīñ bhī
maiñ sar se pā tak huuñ us kā lekin duā.eñ merī vafā.eñ merī
ik apne harjā.ī-pan ke baa.is vo kho bhī saktā hai aur nahīñ bhī
mujhe yaqīñ hai bichhaḌ ke mujh se hazār aaheñ bharegā lekin
vo chand ashkoñ se apnā dāman bhigo bhī saktā hai aur nahīñ bhī
tumhārā 'shahbāz' jis ko jānāñ mohabbateñ raas hī na aa.iiñ
vo chand din tak tumhārī duniyā meñ ho bhī saktā hai aur nahīñ bhī
kisi ki mehndi ka rang hathon se dho bhi sakta hai aur nahin bhi
wo dil se chahe jo mera hona to ho bhi sakta hai aur nahin bhi
jo sham Dhalte hi meri aankhon mein jhilmilata hai chand ban kar
wo apne sine mein meri dhaDkan samo bhi sakta hai aur nahin bhi
jo apne zaKHmon ko meri nazron se dur rakhne ka sochta hai
wo meri palkon ki narm chhanw mein so bhi sakta hai aur nahin bhi
agarche tufan-e-ashk hum ko tumhaare gham ne ata kiya hai
magar ye tufan apni kashti Dubo bhi sakta hai aur nahin bhi
main sar se pa tak hun us ka lekin duaen meri wafaen meri
ek apne harjai-pan ke bais wo kho bhi sakta hai aur nahin bhi
mujhe yaqin hai bichhaD ke mujh se hazar aahen bharega lekin
wo chand ashkon se apna daman bhigo bhi sakta hai aur nahin bhi
tumhaara 'shahbaz' jis ko jaanan mohabbaten ras hi na aain
wo chand din tak tumhaari duniya mein ho bhi sakta hai aur nahin bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.