kisi ki mehrbani ho gai hai
kisī kī mehrbānī ho ga.ī hai
tumheñ jo bad-gumānī ho ga.ī hai
qayāmat kī nishānī ho ga.ī hai
jidhar dekho girānī ho ga.ī hai
ḳhushī hone lagī hai hādsoñ se
tabī.at imtihānī ho ga.ī hai
mohabbat jis jagah thī raqs-farmā
havelī vo purānī ho ga.ī hai
jise dekho vahī sahmā huā hai
agarche rut suhānī ho ga.ī hai
hamārā ghar jalā kar bijliyoñ ko
mayassar shādmānī ho ga.ī hai
kisī kī yaad kā aalam na pūchho
sharīk-e-zindagānī ho ga.ī hai
jise 'mahmūd' sunñā chāhte the
mukammal vo kahānī ho ga.ī hai
kisi ki mehrbani ho gai hai
tumhein jo bad-gumani ho gai hai
qayamat ki nishani ho gai hai
jidhar dekho girani ho gai hai
KHushi hone lagi hai hadson se
tabiat imtihani ho gai hai
mohabbat jis jagah thi raqs-farma
haweli wo purani ho gai hai
jise dekho wahi sahma hua hai
agarche rut suhani ho gai hai
hamara ghar jala kar bijliyon ko
mayassar shadmani ho gai hai
kisi ki yaad ka aalam na puchho
sharik-e-zindagani ho gai hai
jise 'mahmud' sunna chahte the
mukammal wo kahani ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.