kisi ki nargis-e-maKHmur kuchh kah de ishaaron mein
kisī kī nargis-e-maḳhmūr kuchh kah de ishāroñ meñ
maza hai raat din chaltī rahe parhezgāroñ meñ
junūñ meñ dekhiye maidān kis ke haath rahtā hai
paḌī hai ābloñ meñ phuuT aur ekā hai ḳhāroñ meñ
vo sharmā.ī huī āñkheñ vo ghabrā.ī huī bāteñ
nikal kar ghar se vo ghirnā tirā ummīdvāroñ meñ
palak uThtī nahīñ merī taraf kyā thak ga.iiñ āñkheñ
abhī to ho rahī thiiñ ġhair se bāteñ ishāroñ meñ
koī jannat kā ḳhvāhāñ hai koī kausar kā tālib hai
uḌā kartī hai be-par kī hamesha bāda-ḳhvāroñ meñ
jalānā 'dāġh' kā achchhā nahīñ ye dam ġhanīmat hai
ki aisā bā-vafā ik-ādh niklegā hazāroñ meñ
kisi ki nargis-e-maKHmur kuchh kah de ishaaron mein
maza hai raat din chalti rahe parhezgaron mein
junun mein dekhiye maidan kis ke hath rahta hai
paDi hai aablon mein phuT aur eka hai KHaron mein
wo sharmai hui aankhen wo ghabrai hui baaten
nikal kar ghar se wo ghirna tera ummidwaron mein
palak uThti nahin meri taraf kya thak gain aankhen
abhi to ho rahi thin ghair se baaten ishaaron mein
koi jannat ka KHwahan hai koi kausar ka talib hai
uDa karti hai be-par ki hamesha baada-KHwaron mein
jalana 'dagh' ka achchha nahin ye dam ghanimat hai
ki aisa ba-wafa ik-adh niklega hazaron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.