kisi ki qismat se wo KHafa hai kisi ki daulat se wo KHafa hai
kisi ki qismat se wo KHafa hai kisi ki daulat se wo KHafa hai
Rituraj Kumar
MORE BYRituraj Kumar
kisī kī qismat se vo ḳhafā hai kisī kī daulat se vo ḳhafā hai
kisī kī ḳhushiyoñ se us ko shikva kisī kī barakat se vo ḳhafā hai
use pata hai vo kuchh bhī kar le nahīñ milegī ab us ko jannat
so aise bantā hai jaise sab ko lage ki jannat se vo ḳhafā hai
hamārī aadat hai pyaar karnā aur us kī aadat hai vaar karnā
so us kī aadat se ham ḳhafā haiñ hamārī aadat se vo ḳhafā hai
usī ne chāhā thā naam ho tab mirā bhī 'ġhālib' 'farāz' jaisā
maiñ ab ki sab kī zabāñ pe huuñ to sunā hai shohrat se vo ḳhafā hai
bhale-bure haiñ magar ye jaise haiñ in ko apnā maiñ māntā huuñ
ye dost mere haiñ jaan merī inhīñ kī sohbat se vo ḳhafā hai
kisi ki qismat se wo KHafa hai kisi ki daulat se wo KHafa hai
kisi ki KHushiyon se us ko shikwa kisi ki barakat se wo KHafa hai
use pata hai wo kuchh bhi kar le nahin milegi ab us ko jannat
so aise banta hai jaise sab ko lage ki jannat se wo KHafa hai
hamari aadat hai pyar karna aur us ki aadat hai war karna
so us ki aadat se hum KHafa hain hamari aadat se wo KHafa hai
usi ne chaha tha nam ho tab mera bhi 'ghaalib' 'faraaz' jaisa
main ab ki sab ki zaban pe hun to suna hai shohrat se wo KHafa hai
bhale-bure hain magar ye jaise hain in ko apna main manta hun
ye dost mere hain jaan meri inhin ki sohbat se wo KHafa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.