kisi ki rahnumai ko agar mane nahin hote
kisī kī rahnumā.ī ko agar maane nahīñ hote
to shahr-e-sang meñ apne bhī kāshāne nahīñ hote
tahammul Dagmagātā hai laraztī hai anā merī
kabhī bachchoñ kī ḳhātir ghar pe jab daane nahīñ hote
na hotā ḳhauf dahshat kā jo rishta dasht-e-sahrā se
kabhī mash.hūr itne dasht-o-vīrāne nahīñ hote
alag apnoñ se mujh ko kar diyā merī ġharībī ne
agar zardār maiñ hotā vo begāne nahīñ hote
masā.ib har tarah 'mushtāq-ahzan' jhel jaatā hai
kabhī us ke laboñ pe ġham ke afsāne nahīñ hote
kisi ki rahnumai ko agar mane nahin hote
to shahr-e-sang mein apne bhi kashane nahin hote
tahammul Dagmagata hai larazti hai ana meri
kabhi bachchon ki KHatir ghar pe jab dane nahin hote
na hota KHauf dahshat ka jo rishta dasht-e-sahra se
kabhi mashhur itne dasht-o-virane nahin hote
alag apnon se mujh ko kar diya meri gharibi ne
agar zardar main hota wo begane nahin hote
masaib har tarah 'mushtaq-ahzan' jhel jata hai
kabhi us ke labon pe gham ke afsane nahin hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.