kisi ki samt jab patthar uchhaalen
kisī kī samt jab patthar uchhāleñ
to pahle apne sar ko bhī bachā leñ
bahut āsāñ hai auroñ ko parakhnā
kabhī ḳhud ko bhī thoḌā aazmā leñ
mohabbat se masā.il hal hue haiñ
diloñ se aap nafrat ko nikāleñ
kisī ke hoñT par rakh deñ tabassum
kisī ke paañv kā kāñTā nikāleñ
har ik rishta yahāñ par qīmtī hai
ḳhafā haiñ jo unheñ chal kar manā leñ
koī apnā mile gar raah meñ to
na us ko dekh kar dāman bachā leñ
bhulā baiThe haiñ ik arse se jin ko
kisī din chaa.e par un ko bulā leñ
samajhnā ek duuje ko kaThin par
jahāñ tak nibh sakeñ rishta nibhā leñ
na pachhtānā paḌe apne kiye par
samajh kar soch kar har faisla leñ
duā le kar kisī majbūr dil kī
chalo ham bhī 'kiran' nekī kamā leñ
kisi ki samt jab patthar uchhaalen
to pahle apne sar ko bhi bacha len
bahut aasan hai auron ko parakhna
kabhi KHud ko bhi thoDa aazma len
mohabbat se masail hal hue hain
dilon se aap nafrat ko nikalen
kisi ke honT par rakh den tabassum
kisi ke panw ka kanTa nikalen
har ek rishta yahan par qimti hai
KHafa hain jo unhen chal kar mana len
koi apna mile gar rah mein to
na us ko dekh kar daman bacha len
bhula baiThe hain ek arse se jin ko
kisi din chae par un ko bula len
samajhna ek duje ko kaThin par
jahan tak nibh saken rishta nibha len
na pachhtana paDe apne kiye par
samajh kar soch kar har faisla len
dua le kar kisi majbur dil ki
chalo hum bhi 'kiran' neki kama len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.