kisi ki tham kar ungli idhar jate udhar jate
kisī kī thaam kar unglī idhar jaate udhar jaate
hamāre paas ghar hotā to ham bhī apne ghar jaate
agar tum haath rakh dete mirī āñkhoñ kī larzish par
mirī be-rang duniyā meñ balā ke rang bhar jaate
ḳhudā rakkhe udāsī ne hameñ baḳhshī hai yakjā.ī
ḳhushī kā shor sun lete to pal bhar meñ bikhar jaate
hamāre saath aatī thī galī ke tīsre ghar tak
udāsī ghar meñ aa jaatī to jaane ham kidhar jaate
kabhī duniyā kabhī dariyā kabhī sāñsoñ ne koshish kī
mohabbat haath rakh detī to ham hairat se mar jaate
na ham lahroñ ke parvarda na ham kashtī ke shaidā.ī
jahāñ naddī utar jaatī vahīñ ham bhī utar jaate
kisi ki tham kar ungli idhar jate udhar jate
hamare pas ghar hota to hum bhi apne ghar jate
agar tum hath rakh dete meri aankhon ki larzish par
meri be-rang duniya mein bala ke rang bhar jate
KHuda rakkhe udasi ne hamein baKHshi hai yakjai
KHushi ka shor sun lete to pal bhar mein bikhar jate
hamare sath aati thi gali ke tisre ghar tak
udasi ghar mein aa jati to jaane hum kidhar jate
kabhi duniya kabhi dariya kabhi sanson ne koshish ki
mohabbat hath rakh deti to hum hairat se mar jate
na hum lahron ke parwarda na hum kashti ke shaidai
jahan naddi utar jati wahin hum bhi utar jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.