kisi ki yaad mein be-kal rahi hai
kisī kī yaad meñ be-kal rahī hai
vo ik laḌkī jo āñkheñ mal rahī hai
kisī kī raah ko itnā takā thā
hamārī aañkh barsoñ shal rahī hai
chhupā to lī hai apnī pyaas ham ne
magar jo chīḳh andar pal rahī hai
kisī ne paañv se zanjīr bāñdhī
kisī ke paañv meñ paa.el rahī hai
magar sach hai ki ik sūrat kisī kī
hamārī aañkh kā kājal rahī hai
koī āvāz mujh meñ gūñjtī thī
hamesha mujh meñ ik halchal rahī hai
basā rahtā hai mujh meñ shor kaisā
ye kaisī aag mujh meñ jal rahī hai
maiñ dhāḌeñ maar kar jo hañs rahī huuñ
mirī vahshat bhī us ko khal rahī hai
tumhārī yaad ik lohe kī kañghī
musalsal haDDiyoñ par chal rahī hai
kisi ki yaad mein be-kal rahi hai
wo ek laDki jo aankhen mal rahi hai
kisi ki rah ko itna taka tha
hamari aankh barson shal rahi hai
chhupa to li hai apni pyas hum ne
magar jo chiKH andar pal rahi hai
kisi ne panw se zanjir bandhi
kisi ke panw mein pael rahi hai
magar sach hai ki ek surat kisi ki
hamari aankh ka kajal rahi hai
koi aawaz mujh mein gunjti thi
hamesha mujh mein ek halchal rahi hai
basa rahta hai mujh mein shor kaisa
ye kaisi aag mujh mein jal rahi hai
main dhaDen mar kar jo hans rahi hun
meri wahshat bhi us ko khal rahi hai
tumhaari yaad ek lohe ki kanghi
musalsal haDDiyon par chal rahi hai
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.