kisi ki yaad mein sab kuchh bhulana paDta hai
kisī kī yaad meñ sab kuchh bhulānā paḌtā hai
ye kaisā 'ishq huā jaañ se jaanā paḌtā hai
vo aur haiñ jo mohabbat meñ kho.e rahte haiñ
hameñ to lauT ke ḳhud tak bhī aanā paḌtā hai
tum un kī mushkileñ āsān kyoñ samajhte ho
vo jin ko rote hue muskurānā paḌtā hai
tumhāre paas meñ aa.eñ to aa.eñ bhī kaise
hamāre biich meñ saarā zamānā paḌtā hai
mohabbatoñ ke safar par jo chal rahe haiñ unheñ
ḳhud apnī laash ko aksar uThānā paḌtā hai
kisi ki yaad mein sab kuchh bhulana paDta hai
ye kaisa 'ishq hua jaan se jaana paDta hai
wo aur hain jo mohabbat mein khoe rahte hain
hamein to lauT ke KHud tak bhi aana paDta hai
tum un ki mushkilen aasan kyon samajhte ho
wo jin ko rote hue muskurana paDta hai
tumhaare pas mein aaen to aaen bhi kaise
hamare bich mein sara zamana paDta hai
mohabbaton ke safar par jo chal rahe hain unhen
KHud apni lash ko aksar uThana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.