kisi ki yaad phir KHalwat-nashin malum hoti hai
kisi ki yaad phir KHalwat-nashin malum hoti hai
Salahuddin Faiq Burhanpuri
MORE BYSalahuddin Faiq Burhanpuri
kisī kī yaad phir ḳhalvat-nashīñ ma.alūm hotī hai
tabī.at āj-kal andoh-gīñ ma.alūm hotī hai
mohabbat kā har ik sajda bhī me.arāj-e-mohabbat hai
maqām-e-arsh ab merī jabīñ ma.alūm hotī hai
kabhī shabnam kabhī taare kabhī tum muskurāte ho
mohabbat kī har ik saa.at hasīñ ma.alūm hotī hai
zarā tum haath rakkho yā ḳhalish dard-e-mohabbat kī
yahīñ ma.alūm hotī hai yahīñ ma.alūm hotī hai
agar tum muskurāo bhī to dil par choT lagtī hai
tumhārī har adā dard-āfrīñ ma.alūm hotī hai
idhar rū-posh haiñ taare udhar ghar meñ udāsī hai
shab-e-ġham kyā qayāmat-āfrīñ ma.alūm hotī hai
har ik zarre meñ rañgīnī hai ki ḳhūnī mohabbat kī
tumhāre hī ye kūche kī zamīñ ma.alūm hotī hai
jahāñ rakhtā huuñ sar apnā simaT aatī hai kul duniyā
mujhe taqdīs-e-sajda ab kahīñ ma.alūm hotī hai
mohabbat kī maiñ kis manzil meñ huuñ allāhu-akbar ab
musībat bhī masarrat-āfrīñ ma.alūm hotī hai
zarā Thahro mujhe kahne bhī do rūdād-e-ġham apnī
ajab-ḳhoshī tumhārī nukta-chīñ ma.alūm hotī hai
maiñ sahrā meñ bhī jannat ke maze letā huuñ ai 'fā.iq'
tabī.at ḳhud mirī husn-āfrīñ ma.alūm hotī hai
kisi ki yaad phir KHalwat-nashin malum hoti hai
tabiat aaj-kal andoh-gin malum hoti hai
mohabbat ka har ek sajda bhi mearaj-e-mohabbat hai
maqam-e-arsh ab meri jabin malum hoti hai
kabhi shabnam kabhi tare kabhi tum muskuraate ho
mohabbat ki har ek saat hasin malum hoti hai
zara tum hath rakkho ya KHalish dard-e-mohabbat ki
yahin malum hoti hai yahin malum hoti hai
agar tum muskurao bhi to dil par choT lagti hai
tumhaari har ada dard-afrin malum hoti hai
idhar ru-posh hain tare udhar ghar mein udasi hai
shab-e-gham kya qayamat-afrin malum hoti hai
har ek zarre mein rangini hai ki KHuni mohabbat ki
tumhaare hi ye kuche ki zamin malum hoti hai
jahan rakhta hun sar apna simaT aati hai kul duniya
mujhe taqdis-e-sajda ab kahin malum hoti hai
mohabbat ki main kis manzil mein hun allahu-akbar ab
musibat bhi masarrat-afrin malum hoti hai
zara Thahro mujhe kahne bhi do rudad-e-gham apni
ajab-KHoshi tumhaari nukta-chin malum hoti hai
main sahra mein bhi jannat ke maze leta hun ai 'faiq'
tabiat KHud meri husn-afrin malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.