kisi kisi ko hi aate hain ras afsane
kisī kisī ko hī aate haiñ raas afsāne
hameñ to karte haiñ aksar udaas afsāne
na.e zamāne ke in meñ ka.ī ishāre haiñ
bahut purāne haiñ go mere paas afsāne
ḳhushī ke vāste jis ne gale lagāyā unheñ
usī ko chhoḌ ga.e mahv-e-yās afsāne
jinheñ shu.ūr se aarī qarār dete the
vahī bane haiñ qayāfa-shanās afsāne
libās vaale bhī paḌhte haiñ in ko chhup-chhup kar
jo maiñ ne likhe haiñ kuchh be-libās afsāne
vo ek pyāse ne ḳhūn-e-jigar se likhe haiñ
jo ban ga.e haiñ samundar kī pyaas afsāne
vo ek pyāse ne ḳhūn-e-jigar se likhe haiñ
jo ban ga.e haiñ samundar kī pyaas afsāne
ḳhayāl-o-ḳhvāb ke qisse nahīñ haiñ in meñ 'asad'
haiñ ahd-e-nau ke haqīqat-shanās afsāne
kisi kisi ko hi aate hain ras afsane
hamein to karte hain aksar udas afsane
nae zamane ke in mein kai ishaare hain
bahut purane hain go mere pas afsane
KHushi ke waste jis ne gale lagaya unhen
usi ko chhoD gae mahw-e-yas afsane
jinhen shuur se aari qarar dete the
wahi bane hain qayafa-shanas afsane
libas wale bhi paDhte hain in ko chhup-chhup kar
jo main ne likhe hain kuchh be-libas afsane
wo ek pyase ne KHun-e-jigar se likhe hain
jo ban gae hain samundar ki pyas afsane
wo ek pyase ne KHun-e-jigar se likhe hain
jo ban gae hain samundar ki pyas afsane
KHayal-o-KHwab ke qisse nahin hain in mein 'asad'
hain ahd-e-nau ke haqiqat-shanas afsane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.