kisi kisi ko samajh aati hai kahani bhi
kisī kisī ko samajh aatī hai kahānī bhī
har ek shaḳhs pe khulte nahīñ ma'ānī bhī
ye log pūchh rahe haiñ tumhāre baare meñ
maiñ sochtā huuñ suhūlat hai be-zabānī bhī
ḳhalā kā ranj bhī hai ḳhaak se mohabbat bhī
zamīn-zād bhī huuñ aur āsmānī bhī
ab is tarah to bichhaḌne se kuchh nahīñ hogā
koī to raah nikālo na darmiyānī bhī
bas ek dasht hī dīvār tak nahīñ aayā
hamārī samt safar kar rahā hai paanī bhī
maiñ jāntā huuñ tirā 'ishq bhī ai jān-e-'hayāt'
zarūr chhoḌ ke jā.egā ik nishānī bhī
kisi kisi ko samajh aati hai kahani bhi
har ek shaKHs pe khulte nahin ma'ani bhi
ye log puchh rahe hain tumhaare bare mein
main sochta hun suhulat hai be-zabani bhi
KHala ka ranj bhi hai KHak se mohabbat bhi
zamin-zad bhi hun aur aasmani bhi
ab is tarah to bichhaDne se kuchh nahin hoga
koi to rah nikalo na darmiyani bhi
bas ek dasht hi diwar tak nahin aaya
hamari samt safar kar raha hai pani bhi
main jaanta hun tera 'ishq bhi ai jaan-e-'hayat'
zarur chhoD ke jaega ek nishani bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.