Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi kitab se noche hue waraq ki tarah

Hayat Warsi

kisi kitab se noche hue waraq ki tarah

Hayat Warsi

MORE BYHayat Warsi

    kisī kitāb se noche hue varaq tarah

    hai be-dayār mohabbat bhī aaj haq tarah

    haiñ aaj saare qayāfa-shanās hairat meñ

    har ek chehra hai ik jumla-e-adaq tarah

    na apne saath ujālā hai aur na tārīkī

    bikhar ga.e haiñ fazāoñ meñ ham shafaq tarah

    sadā bhaTaktī rahī qahqahoñ ke jangal meñ

    maiñ apnā haal sunāyā kiyā sabaq tarah

    maiñ kaise kartā mukammal nuqūsh hastī ke

    ruḳh-e-‘hayāt’ badaltā rahā ufaq tarah

    kisi kitab se noche hue waraq ki tarah

    hai be-dayar mohabbat bhi aaj haq ki tarah

    hain aaj sare qayafa-shanas hairat mein

    har ek chehra hai ek jumla-e-adaq ki tarah

    na apne sath ujala hai aur na tariki

    bikhar gae hain fazaon mein hum shafaq ki tarah

    sada bhaTakti rahi qahqahon ke jangal mein

    main apna haal sunaya kiya sabaq ki tarah

    main kaise karta mukammal nuqush hasti ke

    ruKH-e-‘hayat’ badalta raha ufaq ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now