kisi ko bhul ke bhi apna raaz-dan na bana
kisī ko bhuul ke bhī apnā rāz-dāñ na banā
jo terā dost hai us ko adū-e-jāñ na banā
hai muḳhtasar sā fasāna hayāt-e-do-rozā
tū ranj-o-ġham kī tavīl ek dāstāñ na banā
ye ḳhāk-dāñ hai har ik chiiz hai yahāñ pāmāl
tasarrufāt-e-mah-o-ḳhur se āsmāñ na banā
jo dār-o-gīr meñ amn-o-amāñ kī ḳhvāhish hai
tū ārzū-e-navādir ko mehmāñ na banā
uḌā mazāq na tahzīb aur tamaddun kā
ḳhirad ko behuda-go dil ko be-ināñ na banā
kuchh ehtirām to lāzim hai ahd-e-pīrī kā
nazar-farosh na ho hirs ko javāñ na banā
kisi ko bhul ke bhi apna raaz-dan na bana
jo tera dost hai us ko adu-e-jaan na bana
hai muKHtasar sa fasana hayat-e-do-roza
tu ranj-o-gham ki tawil ek dastan na bana
ye KHak-dan hai har ek chiz hai yahan pamal
tasarrufat-e-mah-o-KHur se aasman na bana
jo dar-o-gir mein amn-o-aman ki KHwahish hai
tu aarzu-e-nawadir ko mehman na bana
uDa mazaq na tahzib aur tamaddun ka
KHirad ko behuda-go dil ko be-inan na bana
kuchh ehtiram to lazim hai ahd-e-piri ka
nazar-farosh na ho hirs ko jawan na bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.