kisi ko jahan mein hai gham se mafar kya
kisi ko jahan mein hai gham se mafar kya
Khursheed Ambar Pratapgadhi
MORE BYKhursheed Ambar Pratapgadhi
kisī ko jahāñ meñ hai ġham se mafar kyā
hai dariyā to is meñ na hoñge bhañvar kyā
nibhāte ho rishte magar fāsle se
zamāne pe rakhte ho gahrī nazar kyā
har insāñ se jhuk jhuk ke milne lage ho
ḳhudā.ī kā nashsha gayā hai utar kyā
mujhe rāhbar kārvāñ kā banā kar
nikāloge koī purānī kasar kyā
tirā ishq jo chāhe karvā le varna
darīche ko koī banātā hai dar kyā
ḳhafā merī naġhma-sarā.ī se kyoñ ho
musalle pe rahte ho tum raat bhar kyā
shuā.eñ nikaltī haiñ sheroñ se 'ambar'
chaḌhāte ho lafzoñ pe tum āb-e-zar kyā
kisi ko jahan mein hai gham se mafar kya
hai dariya to is mein na honge bhanwar kya
nibhate ho rishte magar fasle se
zamane pe rakhte ho gahri nazar kya
har insan se jhuk jhuk ke milne lage ho
KHudai ka nashsha gaya hai utar kya
mujhe rahbar karwan ka bana kar
nikaloge koi purani kasar kya
tera ishq jo chahe karwa le warna
dariche ko koi banata hai dar kya
KHafa meri naghma-sarai se kyon ho
musalle pe rahte ho tum raat bhar kya
shuaen nikalti hain sheron se 'ambar'
chaDhate ho lafzon pe tum aab-e-zar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.