kisi ko kab wo apne dil ka kuchh ahwal deta hai
kisī ko kab vo apne dil kā kuchh ahvāl detā hai
maiñ us se baat kartā huuñ vo mujh ko Taal detā hai
koī to hai jo is hairat-sarā-e-nūr-o-zulmat meñ
sitāre ko ziyā ā.īne ko timsāl detā hai
bahut inkār kartā hai savāl-e-vasl par lekin
ḳhafā ho jā.ūñ to gardan meñ bāñheñ Daal detā hai
koī chehroñ kā saudāgar chhupā hai is ḳharābe meñ
purānī sūrateñ le kar na.ī ashkāl detā hai
maiñ jis lamhe guzarte vaqt ko mahsūs kartā huuñ
vo ik lamha 'farāsat' ranj-e-māh-o-sāl detā hai
kisi ko kab wo apne dil ka kuchh ahwal deta hai
main us se baat karta hun wo mujh ko Tal deta hai
koi to hai jo is hairat-sara-e-nur-o-zulmat mein
sitare ko ziya aaine ko timsal deta hai
bahut inkar karta hai sawal-e-wasl par lekin
KHafa ho jaun to gardan mein banhen Dal deta hai
koi chehron ka saudagar chhupa hai is KHarabe mein
purani suraten le kar nai ashkal deta hai
main jis lamhe guzarte waqt ko mahsus karta hun
wo ek lamha 'farasat' ranj-e-mah-o-sal deta hai
- Book : Kitab-e-Rafta (Pg. 185)
- Author : Firasat Rizvi
- Publication : Academy Bazyaft, Karachi Pakistan Lahore (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.