kisi ko kya bataiye ki bas do-chaar ho gae
kisī ko kyā batā.iye ki bas do-chār ho ga.e
hamīñ havā ke muñh pe the hamīñ shikār ho ga.e
yahāñ jo dil meñ daaġh thā vahī to ik charāġh thā
vo raat aisā gul huā ki sharmsār ho ga.e
mujhe to ek umr se paḌī hai apnī jaan kī
abhī jo sāhiloñ pe the kidhar se paar ho ga.e
aziim kyoñ na jaañ se ho shikast-e-ā.ina mujhe
vahāñ to ek aks thā yahāñ hazār ho ga.e
kisi ko kya bataiye ki bas do-chaar ho gae
hamin hawa ke munh pe the hamin shikar ho gae
yahan jo dil mein dagh tha wahi to ek charagh tha
wo raat aisa gul hua ki sharmsar ho gae
mujhe to ek umr se paDi hai apni jaan ki
abhi jo sahilon pe the kidhar se par ho gae
azim kyon na jaan se ho shikast-e-aina mujhe
wahan to ek aks tha yahan hazar ho gae
- Book : غبار حیرانی (Pg. 44)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.