kisi ko lakh zamana kahe wo achchhe the
kisī ko laakh zamāna kahe vo achchhe the
jo log aap ko achchhe lage vo achchhe the
jo paude maiñ ne lagā.e the us meñ phuul khile
jo phuul tohfe meñ mujh ko mile vo achchhe the
thā nok-e-teġh-e-vafā kā safar magar jo log
idhar udhar se guzarte rahe vo achchhe the
vo ba.ad-e-vasl vafā kī umiid karne lagā
zakāt de ke jo chalte bane vo achchhe the
jo shaḳhs sab se burā thā yahāñ par us kī bhī
kuchh ek ġhazleñ thiiñ kuchh sher the vo achchhe the
ḳhamosh rah ke marāsim bachā.e to ye khulā
jhagaḌte the jo binā baat ke vo achchhe the
kahānī-kār ne maqtā badal diyā varna
ġhazal meñ vasl ke jo sher the vo achchhe the
kisi ko lakh zamana kahe wo achchhe the
jo log aap ko achchhe lage wo achchhe the
jo paude main ne lagae the us mein phul khile
jo phul tohfe mein mujh ko mile wo achchhe the
tha nok-e-tegh-e-wafa ka safar magar jo log
idhar udhar se guzarte rahe wo achchhe the
wo baad-e-wasl wafa ki umid karne laga
zakat de ke jo chalte bane wo achchhe the
jo shaKHs sab se bura tha yahan par us ki bhi
kuchh ek ghazlen thin kuchh sher the wo achchhe the
KHamosh rah ke marasim bachae to ye khula
jhagaDte the jo bina baat ke wo achchhe the
kahani-kar ne maqta badal diya warna
ghazal mein wasl ke jo sher the wo achchhe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.