kisi ko phir use pane ki zid hai
kisī ko phir use paane kī zid hai
hamāre darmiyāñ aane kī zid hai
mirī chāhat hai us ko rok lenā
magar vo hai ki bas jaane kī zid hai
dayār-e-shām se aage nikal kar
mohabbat ke azā-ḳhāne kī zid hai
shu.ūr-e-ġham vahāñ pahuñchā ki ab to
ḳhushī ko marsiya-ḳhāne kī zid hai
kisī kī pyaas zinda jāvedāñ hai
kisī ko phir se mar jaane kī zid hai
furāt-e-jism se ḳhemeñ haTā kar
amīr-e-shām ke aane kī zid hai
kisi ko phir use pane ki zid hai
hamare darmiyan aane ki zid hai
meri chahat hai us ko rok lena
magar wo hai ki bas jaane ki zid hai
dayar-e-sham se aage nikal kar
mohabbat ke aza-KHane ki zid hai
shuur-e-gham wahan pahuncha ki ab to
KHushi ko marsiya-KHane ki zid hai
kisi ki pyas zinda jawedan hai
kisi ko phir se mar jaane ki zid hai
furaat-e-jism se KHemen haTa kar
amir-e-sham ke aane ki zid hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.