kisi ko wasl mein ulfat ka sagar mar deta hai
kisī ko vasl meñ ulfat kā sāgar maar detā hai
kisī ko hijr meñ yādoñ kā lashkar maar detā hai
baḌī mushkil se ġhazloñ meñ sitam us ke sunātā huuñ
magar phir aap logoñ kā mukarrar maar detā hai
mohabbat kar to lūñgā maiñ kisī se bhī magar yaaro
koī mahbūb aisā hai jo yaksar maar detā hai
maiñ jab bhī bhejtā huuñ ḳhat pahuñchtā hī nahīñ us tak
na-jāne kaun raste meñ kabūtar maar detā hai
maiñ apne vasl kī yādoñ pe jī letā magar jānāñ
mujhe har pal judā.ī kā vo manzar maar detā hai
zamāne se to laḌ lete haiñ ham tā-'umr par 'ālam'
mire jaisoñ ko aksar ye muqaddar maar detā hai
kisi ko wasl mein ulfat ka sagar mar deta hai
kisi ko hijr mein yaadon ka lashkar mar deta hai
baDi mushkil se ghazlon mein sitam us ke sunata hun
magar phir aap logon ka mukarrar mar deta hai
mohabbat kar to lunga main kisi se bhi magar yaro
koi mahbub aisa hai jo yaksar mar deta hai
main jab bhi bhejta hun KHat pahunchta hi nahin us tak
na-jaane kaun raste mein kabutar mar deta hai
main apne wasl ki yaadon pe ji leta magar jaanan
mujhe har pal judai ka wo manzar mar deta hai
zamane se to laD lete hain hum ta-'umr par 'alam'
mere jaison ko aksar ye muqaddar mar deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.