kisi mahaz pe wo bolne nahin deta
kisī mahāz pe vo bolne nahīñ detā
zarūratan bhī zabāñ kholne nahīñ detā
qafas meñ ab bhī muhāfiz ka.ī parindoñ par
nigāh rakhtā hai par tolne nahīñ detā
vo jis kā haq hai use bhī to nā-shanās-e-vafā
mahal-sarāoñ ke dar kholne nahīñ detā
mirā bhī pyaar hai sādiq isī liye to kabhī
kisī ko pyaar meñ sam gholne nahīñ detā
vo chāhtā hai ki sahrā-navard ban jā.ūñ
makān-e-zehn ke dar kholne nahīñ detā
hazār-hā guhar-e-ashk-e-gul ba-vaqt-e-sahar
chaman meñ mausam-e-gul rolne nahīñ detā
vo tark-e-'ishq kī detā hai dhamkiyāñ mujh ko
jo baat sach hai use bolne nahīñ detā
havā ne pairahan-e-bādbāñ uḌā bhī diyā
ye nā-ḳhudā hai ki lab kholne nahīñ detā
taḳhayyulāt pe 'hairat' ke chhā gayā aisā
tasavvurāt ke dar kholne nahīñ detā
kisi mahaz pe wo bolne nahin deta
zaruratan bhi zaban kholne nahin deta
qafas mein ab bhi muhafiz kai parindon par
nigah rakhta hai par tolne nahin deta
wo jis ka haq hai use bhi to na-shanas-e-wafa
mahal-saraon ke dar kholne nahin deta
mera bhi pyar hai sadiq isi liye to kabhi
kisi ko pyar mein sam gholne nahin deta
wo chahta hai ki sahra-naward ban jaun
makan-e-zehn ke dar kholne nahin deta
hazar-ha guhar-e-ashk-e-gul ba-waqt-e-sahar
chaman mein mausam-e-gul rolne nahin deta
wo tark-e-'ishq ki deta hai dhamkiyan mujh ko
jo baat sach hai use bolne nahin deta
hawa ne pairahan-e-baadban uDa bhi diya
ye na-KHuda hai ki lab kholne nahin deta
taKHayyulat pe 'hairat' ke chha gaya aisa
tasawwuraat ke dar kholne nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.