kisi manzar mein tujh bin dilkashi pai nahin jati
kisi manzar mein tujh bin dilkashi pai nahin jati
Gulamullah Afsoon Bhopali
MORE BYGulamullah Afsoon Bhopali
kisī manzar meñ tujh bin dilkashī paa.ī nahīñ jaatī
tabī.at laakh bahlātā huuñ bahlā.ī nahīñ jaatī
mohabbat bahs-e-ġham ke darmiyāñ laa.ī nahīñ jaatī
ye kashtī dekh is tūfāñ meñ dauḌā.ī nahīñ jaatī
musībat apne hāthoñ ishq kī laa.ī nahīñ jaatī
bhaḌak uThtī hai ḳhud ye aag bhaḌkā.ī nahīñ jaatī
mirā ik ik nafas kartā hai ġhammāzī mohabbat kī
sukūt-e-maslahat se shān-e-goyā.ī nahīñ jaatī
jise maiñ zindagī-e-ishq kā hāsil samajhtā thā
zabāñ par ab vahī rūdād-e-ġham laa.ī nahīñ jaatī
bayān-e-ārzū to kyā ki un ke sāmne 'afsūñ'
zabāñ par shauq kī rūdād bhī laa.ī nahīñ jaatī
kisi manzar mein tujh bin dilkashi pai nahin jati
tabiat lakh bahlata hun bahlai nahin jati
mohabbat bahs-e-gham ke darmiyan lai nahin jati
ye kashti dekh is tufan mein dauDai nahin jati
musibat apne hathon ishq ki lai nahin jati
bhaDak uThti hai KHud ye aag bhaDkai nahin jati
mera ek ek nafas karta hai ghammazi mohabbat ki
sukut-e-maslahat se shan-e-goyai nahin jati
jise main zindagi-e-ishq ka hasil samajhta tha
zaban par ab wahi rudad-e-gham lai nahin jati
bayan-e-arzu to kya ki un ke samne 'afsun'
zaban par shauq ki rudad bhi lai nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.