kisi manzar mein tujh bin dilkashi pai nahin jati
kisi manzar mein tujh bin dilkashi pai nahin jati
Nafeesa Sultana Ana
MORE BYNafeesa Sultana Ana
kisī manzar meñ tujh bin dilkashī paa.ī nahīñ jaatī
ki mahfil meñ bhī rah kar merī tanhā.ī nahīñ jaatī
judā sab se vo hote haiñ mohabbat jin ko hotī hai
ye har insān ke dil meñ kabhī paa.ī nahīñ jaatī
ġhamoñ ko baañT leñ ik din chale aao qarār aa.e
tabī.at apnī tanhā ham se bahlā.ī nahīñ jaatī
ḳhudā se rabt hai jin kā mohabbat kaam hai un kā
sifat us kī siyah-kāroñ meñ to paa.ī nahīñ jaatī
'anā' merī zarūrat vo 'anā' merī mohabbat vo
ba-juz is ke mirī jaañ meñ to jaañ paa.ī nahīñ jaatī
kisi manzar mein tujh bin dilkashi pai nahin jati
ki mahfil mein bhi rah kar meri tanhai nahin jati
juda sab se wo hote hain mohabbat jin ko hoti hai
ye har insan ke dil mein kabhi pai nahin jati
ghamon ko banT len ek din chale aao qarar aae
tabiat apni tanha hum se bahlai nahin jati
KHuda se rabt hai jin ka mohabbat kaam hai un ka
sifat us ki siyah-karon mein to pai nahin jati
'ana' meri zarurat wo 'ana' meri mohabbat wo
ba-juz is ke meri jaan mein to jaan pai nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.