kisi manzil pe bhi zulm-o-sitam se Dar nahin sakta
kisi manzil pe bhi zulm-o-sitam se Dar nahin sakta
Om Prakash Laghar
MORE BYOm Prakash Laghar
kisī manzil pe bhī zulm-o-sitam se Dar nahīñ saktā
ki maiñ sajda kabhī bātil ke aage kar nahīñ saktā
ye maanā lafz meñ iz.hār kī quvvat to hotī hai
magar haqq-o-haqīqat ko bayāñ ye kar nahīñ saktā
use aḳhlāq aur tahzīb kā kyoñ dars dete ho
shikam jo aadmī nān-e-javīñ se bhar nahīñ saktā
asīr-e-ārzū rahtā hai jo insān duniyā meñ
sukūn-e-dil kisī sūrat vo hāsil kar nahīñ saktā
fidā jo maġhribī tahzīb par haiñ jaan jā.eñge
diyā maġhrib kā mashriq ko munavvar kar nahīñ saktā
bharosa dil se hai 'lāġhar' jise us kī ināyat par
vo insāñ ahl-e-duniyā par bharosa kar nahīñ saktā
kisi manzil pe bhi zulm-o-sitam se Dar nahin sakta
ki main sajda kabhi baatil ke aage kar nahin sakta
ye mana lafz mein izhaar ki quwwat to hoti hai
magar haqq-o-haqiqat ko bayan ye kar nahin sakta
use aKHlaq aur tahzib ka kyon dars dete ho
shikam jo aadmi nan-e-jawin se bhar nahin sakta
asir-e-arzu rahta hai jo insan duniya mein
sukun-e-dil kisi surat wo hasil kar nahin sakta
fida jo maghribi tahzib par hain jaan jaenge
diya maghrib ka mashriq ko munawwar kar nahin sakta
bharosa dil se hai 'laghar' jise us ki inayat par
wo insan ahl-e-duniya par bharosa kar nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.