kisī marqad kā hī zevar ho jaa.eñ
phuul ho jaa.eñ ki patthar ho jaa.eñ
ḳhushkiyāñ ham se kinārā kar leñ
tum agar chāho samundar ho jaa.eñ
tū ne muñh pherā to ham aise lage
jis tarah aadmī be-ghar ho jaa.eñ
ye sitāre ye samundar ye pahāḌ
kis tarah log barābar ho jaa.eñ
apnā haq log kahāñ chhoḌte haiñ
dost ban jaa.eñ barādar ho jaa.eñ
āmad-e-shab kā ye matlab hogā
'rām' kuchh chehre ujāgar ho jaa.eñ
kisi marqad ka hi zewar ho jaen
phul ho jaen ki patthar ho jaen
KHushkiyan hum se kinara kar len
tum agar chaho samundar ho jaen
tu ne munh phera to hum aise lage
jis tarah aadmi be-ghar ho jaen
ye sitare ye samundar ye pahaD
kis tarah log barabar ho jaen
apna haq log kahan chhoDte hain
dost ban jaen baradar ho jaen
aamad-e-shab ka ye matlab hoga
'ram' kuchh chehre ujagar ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.