kisi nai ruh ko jismi qabaen bheji hain
Interesting Fact
Dedicated to Gulzar
kisī nai ruuh ko jismī qabā.eñ bhejī haiñ
duā.eñ māñgī thiiñ lekin davā.eñ bhejī haiñ
jahāñ pe koī ma.ānī nahīñ the lafzoñ ke
ḳhamosh ham ne vahāñ par sadā.eñ bhejī haiñ
na jaane kaun sī duniyā se bārhā kis ne
ajab zabān meñ kuchh ittilā.eñ bhejī haiñ
mazāq uḌāyā hai mausam ne tishna-kāmī kā
baġhair paanī kai kaalī ghaTā.eñ bhejī haiñ
kisī se daulat-e-ġham aaj tak nahīñ bāñTī
hamesha chiTThī meñ dil-kash kathā.eñ bhejī haiñ
kahāñ kahāñ tire kāfar ne sar jhukāyā hai
kahāñ kahāñ se muqaddas duā.eñ bhejī haiñ
kisi nai ruh ko jismi qabaen bheji hain
duaen mangi thin lekin dawaen bheji hain
jahan pe koi maani nahin the lafzon ke
KHamosh hum ne wahan par sadaen bheji hain
na jaane kaun si duniya se barha kis ne
ajab zaban mein kuchh ittilaen bheji hain
mazaq uDaya hai mausam ne tishna-kaami ka
baghair pani kai kali ghaTaen bheji hain
kisi se daulat-e-gham aaj tak nahin banTi
hamesha chiTThi mein dil-kash kathaen bheji hain
kahan kahan tere kafar ne sar jhukaya hai
kahan kahan se muqaddas duaen bheji hain
- Book : Namak (Pg. 74)
- Author : Subodh Saaqi
- Publication : Arshia Publications (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.