kisi nazar ke sawali bane hue hain hum
kisī nazar ke savālī bane hue haiñ ham
suḳhan ke baaġh meñ maalī bane hue haiñ ham
ka.ī asiir gale se lagā ke rote haiñ
kisī mazār kī jaalī bane hue haiñ ham
kisī ke kaam to aa.eñ koī jalā.e hameñ
so ḳhushk peḌ kī Daalī bane hue haiñ ham
hamārā jiinā aziyyat nahīñ hai ta.ana hai
ḳhud apne vāste gaalī bane hue haiñ ham
khaTak rahe haiñ kisī aañkh meñ 'hasan' ham log
kisī ke kaan kī baalī bane hue haiñ ham
kisi nazar ke sawali bane hue hain hum
suKHan ke bagh mein mali bane hue hain hum
kai asir gale se laga ke rote hain
kisi mazar ki jali bane hue hain hum
kisi ke kaam to aaen koi jalae hamein
so KHushk peD ki Dali bane hue hain hum
hamara jina aziyyat nahin hai tana hai
KHud apne waste gali bane hue hain hum
khaTak rahe hain kisi aankh mein 'hasan' hum log
kisi ke kan ki baali bane hue hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.