kisi ne abhi mujhko mana nahin
kisī ne abhī mujh ko maanā nahīñ
mirā saath detā zamāna nahīñ
kisī roz chamkeñge jauhar mire
abhī mujh ko duniyā ne jaanā nahīñ
mirī shā.erī hai taqāzā-e-zauq
mujhe zor-e-fan āzmānā nahīñ
mujhe ḳhalq ke dil meñ karnā hai ghar
faqat rang apnā jamānā nahīñ
jo kahtā huuñ maiñ dil kī hai vārdāt
ye kuchh shā.erī yā fasānā nahīñ
zamāna huā mujh ko jiite hue
sabab maiñ ne jiine kā jaanā nahīñ
sujhāyā to maiñ ne bahut nek-o-bad
ye dil merā kambaḳht maanā nahīñ
mire dil ne khaa.ī haiñ choTeñ bahut
tum ab aur is ko dukhānā nahīñ
nahīñ hai vo dil hai koī aur shai
agar tīr-e-ġham kā nishānā nahīñ
maiñ hañstā rahā zindagī-bhar 'jalīl'
kisī ne mirā dard jaanā nahīñ
kisi ne abhi mujh ko mana nahin
mera sath deta zamana nahin
kisi roz chamkenge jauhar mere
abhi mujh ko duniya ne jaana nahin
meri shaeri hai taqaza-e-zauq
mujhe zor-e-fan aazmana nahin
mujhe KHalq ke dil mein karna hai ghar
faqat rang apna jamana nahin
jo kahta hun main dil ki hai wardat
ye kuchh shaeri ya fasana nahin
zamana hua mujh ko jite hue
sabab main ne jine ka jaana nahin
sujhaya to main ne bahut nek-o-bad
ye dil mera kambaKHt mana nahin
mere dil ne khai hain choTen bahut
tum ab aur is ko dukhana nahin
nahin hai wo dil hai koi aur shai
agar tir-e-gham ka nishana nahin
main hansta raha zindagi-bhar 'jalil'
kisi ne mera dard jaana nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.