kisi ne chand suraj aur sitare bech Dale hain
kisi ne chand suraj aur sitare bech Dale hain
Irshad Qamar Bukhari
MORE BYIrshad Qamar Bukhari
kisī ne chāñd sūraj aur sitāre bech Daale haiñ
mohabbat bech Daalī ḳhvāb saare bech Daale haiñ
koī ummīd koī aasrā baaqī nahīñ chhoḌā
vafā ke pyaar ke saare sahāre bech Daale haiñ
bhañvar meñ chhoḌ dī kashtī hamāre nā-ḳhudāoñ ne
nigāhoñ ke sabhī raushan kināre bech Daale haiñ
hamārī aañkh se noche ga.e haiñ sab hasīñ manzar
nazar chhīnī ga.ī hai aur nazāre bech Daale haiñ
sitam to dekhiye un kā 'qamar' jo ham pe TuuTā hai
dar-o-dīvār beche ghar hamāre bech Daale haiñ
kisi ne chand suraj aur sitare bech Dale hain
mohabbat bech Dali KHwab sare bech Dale hain
koi ummid koi aasra baqi nahin chhoDa
wafa ke pyar ke sare sahaare bech Dale hain
bhanwar mein chhoD di kashti hamare na-KHudaon ne
nigahon ke sabhi raushan kinare bech Dale hain
hamari aankh se noche gae hain sab hasin manzar
nazar chhini gai hai aur nazare bech Dale hain
sitam to dekhiye un ka 'qamar' jo hum pe TuTa hai
dar-o-diwar beche ghar hamare bech Dale hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 600)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.