kisi ne chand uThaya kisi ne tare liye
kisī ne chāñd uThāyā kisī ne taare liye
falak pe kuchh bhī nahīñ thā magar hamāre liye
mire ḳhudā mirā jangal tire havāle hai
bahut se log ga.e haiñ udhar ko aare liye
tumhāre hote tumhārī bhī kab zarūrat thī
tumhāre baa'd jahāñ bhar ke phir sahāre liye
yaqīñ dilāo banogī mirī tum is ke baa'd
maiñ chāñd le ke agar aa gayā tumhāre liye
kisī ke chehre pe qurbān kar diye 'ātif'
jahān bhar se in āñkhoñ ne jo nazāre liye
kisi ne chand uThaya kisi ne tare liye
falak pe kuchh bhi nahin tha magar hamare liye
mere KHuda mera jangal tere hawale hai
bahut se log gae hain udhar ko aare liye
tumhaare hote tumhaari bhi kab zarurat thi
tumhaare ba'd jahan bhar ke phir sahaare liye
yaqin dilao banogi meri tum is ke ba'd
main chand le ke agar aa gaya tumhaare liye
kisi ke chehre pe qurban kar diye 'atif'
jahan bhar se in aankhon ne jo nazare liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.