kisi ne ek jafa-e-karam-numa kar ke
kisī ne ek jafā-e-karam-numā kar ke
Dubo diyā mujhe sāhil se āshnā kar ke
ġhubār-e-rāh ko maġhrūr-e-irtiqā kar ke
gayā hai kaun zamīñ ko falak-numā kar ke
umīd-e-jashn-e-charāġhāñ bhī chhin ga.ī ham se
kahīñ ke ham na rahe barq ko ḳhafā kar ke
ye vaqt hai ki jafāoñ ko marhabā kahiye
hamesha kaam nikaltā nahīñ gila kar ke
baḌe salīqe se badnām kar diyā tum ko
hamārā zikr raqīboñ ne jā-ba-jā kar ke
azān-e-sub.h se TuuTā ġhamoñ kā sannāTā
guzar ga.ī shab-e-hijrāñ ḳhudā ḳhudā kar ke
mire rafīq ye tahsīn-e-nā-shanās kahīñ
tujhe na chhoḌ de āvāra-e-anā kar ke
shurūa kab ho na jaane nazākatoñ kā safar
maiñ dil ko baiThā huuñ shāyān-e-naqsh-e-pā kar ke
tum un se karte ho kyā zikr-e-zindagī 'jauhar'
jo saañs rok leñ andesha-e-fanā kar ke
kisi ne ek jafa-e-karam-numa kar ke
Dubo diya mujhe sahil se aashna kar ke
ghubar-e-rah ko maghrur-e-irtiqa kar ke
gaya hai kaun zamin ko falak-numa kar ke
umid-e-jashn-e-charaghan bhi chhin gai hum se
kahin ke hum na rahe barq ko KHafa kar ke
ye waqt hai ki jafaon ko marhaba kahiye
hamesha kaam nikalta nahin gila kar ke
baDe saliqe se badnam kar diya tum ko
hamara zikr raqibon ne ja-ba-ja kar ke
azan-e-subh se TuTa ghamon ka sannaTa
guzar gai shab-e-hijran KHuda KHuda kar ke
mere rafiq ye tahsin-e-na-shanas kahin
tujhe na chhoD de aawara-e-ana kar ke
shurua kab ho na jaane nazakaton ka safar
main dil ko baiTha hun shayan-e-naqsh-e-pa kar ke
tum un se karte ho kya zikr-e-zindagi 'jauhar'
jo sans rok len andesha-e-fana kar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.