Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kisi ne kah di koi baat haq malum hota hai

Maqbool Ahmad Maqbool

kisi ne kah di koi baat haq malum hota hai

Maqbool Ahmad Maqbool

MORE BYMaqbool Ahmad Maqbool

    kisī ne kah koī baat haq mā'lūm hotā hai

    tabhī chehre tere rang faq mā'lūm hotā hai

    sahīfa zindagānī bahut āsāñ nazar aaya

    magar jab paḌhne baiThūñ to adaq mā'lūm hotā hai

    jahāñ ke daftar-e-ġham haqīqat hai kyā vo to

    hamāre dard-e-dil ik ramaq mā'lūm hotā hai

    haqīqat meñ lahū hai vo shahīdān-e-mohabbat

    kanār-e-charḳh jo rang-e-shafaq mā'lūm hotā hai

    namī hai āñsuoñ ḳhūñ-chakāñ alfāz haiñ saare

    ye merī kahānī varaq mā'lūm hotā hai

    kisi ne kah di koi baat haq ma'lum hota hai

    tabhi chehre ka tere rang faq ma'lum hota hai

    sahifa zindagani ka bahut aasan nazar aaya

    magar jab paDhne baiThun to adaq ma'lum hota hai

    jahan ke daftar-e-gham ki haqiqat hi hai kya wo to

    hamare dard-e-dil ka ek ramaq ma'lum hota hai

    haqiqat mein lahu hai wo shahidan-e-mohabbat ka

    kanar-e-charKH jo rang-e-shafaq ma'lum hota hai

    nami hai aansuon ki KHun-chakan alfaz hain sare

    ye meri hi kahani ka waraq ma'lum hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now