kisi ne kar liya ahd-e-wafa malum hota hai
kisī ne kar liyā ahd-e-vafā ma.alūm hotā hai
huā hai dard apnī ḳhud davā ma.alūm hotā hai
tire saf.he pe hastī ye likhā ma.alūm hotā hai
ki insāñ ik musāfir hai thakā ma.alūm hotā hai
idhar yādeñ tirī haiñ aur udhar dil kī rageñ TuuTī
bichhaḌtā ek se ab dūsrā ma.alūm hotā hai
vahī yādeñ haiñ lekin kaifiyat hai dūsrī dil kī
vahī hai dard bhī lekin judā ma.alūm hotā hai
kisī sūrat nahīñ baḌhte qadam ab sū-e-manzil ko
koī kāñTā hai pairoñ meñ chubhā ma.alūm hotā hai
tirī yādoñ se tanhā.ī meñ taskīñ dil ko hotī hai
diyā hai dard aisā jo davā ma.alūm hotā hai
zamāne ke ġhamoñ ke saath hai dil meñ tarah ġham bhī
magar har ġham se terā ġham judā ma.alūm hotā hai
bhaḌakte haiñ tirī yādoñ ke sho.ale har nafas dil meñ
makāñ ik duur se jaltā huā ma.alūm hotā hai
muqābil aate hī un kī vo āñkheñ DabDabā.ī sī
mujhe ab ahd-o-paimāñ TūTtā ma.alūm hotā hai
zamāne ke sitam haiñ aur dil meñ terī yādeñ haiñ
bujhā degī havā shāyad diyā ma.alūm hotā hai
pareshāñ dard terā ho gayā dil meñ mire aa kar
makāñ meñ ye makīñ shāyad nayā ma.alūm hotā hai
nigāh-e-ḳhās terī ho ga.ī shāyad nazar mujh par
jigar meñ dard mujh ko phir sivā ma.alūm hotā hai
na koī zikr hai terā na terā naam hai lab par
magar mushkil meñ ye dil mubtalā ma.alūm hotā hai
vahī yādeñ haiñ lekin dil shagufta ab nahīñ hotā
vahī hai saaz lekin be-sadā mālūm hotā hai
nahīñ hai dil meñ aur yādoñ meñ maanā rabt vo baaqī
magar ik dard hai jo silsila ma.alūm hotā hai
vahī tābāniyāñ 'ashraf' haiñ tere azm kī ab bhī
ba-zāhir harf hai to aur miTā ma.alūm hotā hai
kisi ne kar liya ahd-e-wafa malum hota hai
hua hai dard apni KHud dawa malum hota hai
tere safhe pe hasti ye likha malum hota hai
ki insan ek musafir hai thaka malum hota hai
idhar yaaden teri hain aur udhar dil ki ragen TuTi
bichhaDta ek se ab dusra malum hota hai
wahi yaaden hain lekin kaifiyat hai dusri dil ki
wahi hai dard bhi lekin juda malum hota hai
kisi surat nahin baDhte qadam ab su-e-manzil ko
koi kanTa hai pairon mein chubha malum hota hai
teri yaadon se tanhai mein taskin dil ko hoti hai
diya hai dard aisa jo dawa malum hota hai
zamane ke ghamon ke sath hai dil mein tarah gham bhi
magar har gham se tera gham juda malum hota hai
bhaDakte hain teri yaadon ke shoale har nafas dil mein
makan ek dur se jalta hua malum hota hai
muqabil aate hi un ki wo aankhen DabDabai si
mujhe ab ahd-o-paiman TuTta malum hota hai
zamane ke sitam hain aur dil mein teri yaaden hain
bujha degi hawa shayad diya malum hota hai
pareshan dard tera ho gaya dil mein mere aa kar
makan mein ye makin shayad naya malum hota hai
nigah-e-KHas teri ho gai shayad nazar mujh par
jigar mein dard mujh ko phir siwa malum hota hai
na koi zikr hai tera na tera nam hai lab par
magar mushkil mein ye dil mubtala malum hota hai
wahi yaaden hain lekin dil shagufta ab nahin hota
wahi hai saz lekin be-sada malum hota hai
nahin hai dil mein aur yaadon mein mana rabt wo baqi
magar ek dard hai jo silsila malum hota hai
wahi tabaniyan 'ashraf' hain tere azm ki ab bhi
ba-zahir harf hai to aur miTa malum hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.