kisi ne pahle shikayat ki intiha kar di
kisī ne pahle shikāyat kī intihā kar dī
phir us ke baa'd mohabbat kī intihā kar dī
tumhāre baare meñ jab sochne maiñ baiThā to
dimāġh-o-dil ne 'adāvat kī intihā kar dī
maiñ apne aap ko taqsīm kar ke lauTā huuñ
lo aaj maiñ ne saḳhāvat kī intihā kar dī
vo saj sañvar ke kuchh itnā hasīn lagne lagā
ki ā.inoñ ne bhī hairat kī intihā kar dī
havā chalī to laveñ sab ne tez-tar kar liiñ
diyoñ ne ab ke jasārat kī intihā kar dī
saḳhāvatoñ ke ġhalat fā.ede uThā.e ga.e
zarūratoñ ne zarūrat kī intihā kar dī
maiñ us ke vā'de pe phir e'tibār kar baiThā
'kamāl' maiñ ne himāqat kī intihā kar dī
kisi ne pahle shikayat ki intiha kar di
phir us ke ba'd mohabbat ki intiha kar di
tumhaare bare mein jab sochne main baiTha to
dimagh-o-dil ne 'adawat ki intiha kar di
main apne aap ko taqsim kar ke lauTa hun
lo aaj main ne saKHawat ki intiha kar di
wo saj sanwar ke kuchh itna hasin lagne laga
ki aainon ne bhi hairat ki intiha kar di
hawa chali to lawen sab ne tez-tar kar lin
diyon ne ab ke jasarat ki intiha kar di
saKHawaton ke ghalat faede uThae gae
zaruraton ne zarurat ki intiha kar di
main us ke wa'de pe phir e'tibar kar baiTha
'kamal' main ne himaqat ki intiha kar di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.