kisi ne wada-e-farda pe Tal rakkha hai
kisī ne vā'da-e-fardā pe Taal rakkhā hai
savāl apnī jagah phir savāl rakkhā hai
paheliyoñ se kahīñ uljhaneñ sulajhtī haiñ
mujhe to tum ne musībat meñ Daal rakkhā hai
tumheñ ḳhabar bhī hai sūraj ke pūjne vaalo
fazā meñ kis ne ye sho'la uchhāl rakkhā hai
sunā hai jis pe likhī thī mirī ġhazal us ne
kitāb se vo varaq hī nikāl rakkhā hai
kise ḳhabar hai ki ham ne tumhāre ḳhvāboñ ko
baḌe ḳhulūs se āñkhoñ meñ paal rakkhā hai
kisi ne wa'da-e-farda pe Tal rakkha hai
sawal apni jagah phir sawal rakkha hai
paheliyon se kahin uljhanen sulajhti hain
mujhe to tum ne musibat mein Dal rakkha hai
tumhein KHabar bhi hai suraj ke pujne walo
faza mein kis ne ye sho'la uchhaal rakkha hai
suna hai jis pe likhi thi meri ghazal us ne
kitab se wo waraq hi nikal rakkha hai
kise KHabar hai ki hum ne tumhaare KHwabon ko
baDe KHulus se aankhon mein pal rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.