kisi nigah kisi dil talak nahin pahunche
kisī nigāh kisī dil talak nahīñ pahuñche
rahe safar meñ jo manzil talak nahīñ pahuñche
junūñ abas hai jo maqtal talak nahīñ laayā
vo sar hī kyā haiñ jo qātil talak nahīñ pahuñche
bhañvar kī chaah meñ ġharqāb ham hue to kyā
safīne kitne hī sāhil talak nahīñ pahuñche
shikast-o-fat.h kī lazzat se tum nahīñ vāqif
abhī to tum kisī mushkil talak nahīñ pahuñche
unhīñ ko da.avā hai bastī meñ dast-gīrī kā
vo dastgīr jo saa.il talak nahīñ pahuñche
haiñ sach ke aa.ine jitne bhī TuuT jā.eñge
hamāre haath jo bātil talak nahīñ pahuñche
hamāre dard ke qisse haiñ fard-e-fardā bhī
raqam na ho sake mahfil talak nahīñ pahuñche
kisi nigah kisi dil talak nahin pahunche
rahe safar mein jo manzil talak nahin pahunche
junun abas hai jo maqtal talak nahin laya
wo sar hi kya hain jo qatil talak nahin pahunche
bhanwar ki chah mein gharqab hum hue to kya
safine kitne hi sahil talak nahin pahunche
shikast-o-fath ki lazzat se tum nahin waqif
abhi to tum kisi mushkil talak nahin pahunche
unhin ko dawa hai basti mein dast-giri ka
wo dastgir jo sail talak nahin pahunche
hain sach ke aaine jitne bhi TuT jaenge
hamare hath jo baatil talak nahin pahunche
hamare dard ke qisse hain fard-e-farda bhi
raqam na ho sake mahfil talak nahin pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.