kisi par tabiat ka aana ghazab hai
kisī par tabī.at kā aanā ġhazab hai
ġhazab hai ġhazab dil lagānā ġhazab hai
agar ek din ho to sab kuchh bhugat luuñ
magar roz kā ranj uThānā ġhazab hai
haiñ majbūriyāñ dil kī ḳhud sau tarah kī
ye bekas hai is ko satānā ġhazab hai
shab-e-hijr kā mājrā kuchh na pūchho
na chheḌo ise ye fasāna ġhazab hai
kahīñ vaar ḳhālī bhī jaatā hai us kā
ki tīr-e-nazar kā nishāna ġhazab hai
na himmat paḌegī kisī bul-havas kī
tirā jāñchnā āzmānā ġhazab hai
shab-e-hijr dil kā machalnā sitam hai
tirā vasl meñ ruuTh jaanā ġhazab hai
dimāġh un kā dil le ke kyā pūchhte ho
kisī shai kā muft haath aanā ġhazab hai
vo sharmīlī āñkheñ vo nīchī nigāheñ
vo muñh pher kar muskurānā ġhazab hai
sitam-ḳhez yuuñ to har ik sāneha hai
magar dil kā hāthoñ se jaanā ġhazab hai
'fahīm' ab to bas jaan par aa banī hai
sitam hai sitam dil lagānā ġhazab hai
kisi par tabiat ka aana ghazab hai
ghazab hai ghazab dil lagana ghazab hai
agar ek din ho to sab kuchh bhugat lun
magar roz ka ranj uThana ghazab hai
hain majburiyan dil ki KHud sau tarah ki
ye bekas hai is ko satana ghazab hai
shab-e-hijr ka majra kuchh na puchho
na chheDo ise ye fasana ghazab hai
kahin war KHali bhi jata hai us ka
ki tir-e-nazar ka nishana ghazab hai
na himmat paDegi kisi bul-hawas ki
tera jaanchna aazmana ghazab hai
shab-e-hijr dil ka machalna sitam hai
tera wasl mein ruTh jaana ghazab hai
dimagh un ka dil le ke kya puchhte ho
kisi shai ka muft hath aana ghazab hai
wo sharmili aankhen wo nichi nigahen
wo munh pher kar muskurana ghazab hai
sitam-KHez yun to har ek saneha hai
magar dil ka hathon se jaana ghazab hai
'fahim' ab to bas jaan par aa bani hai
sitam hai sitam dil lagana ghazab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.