kisi parde mein koi jalwa-gar hoga to kya hoga
kisī parde meñ koī jalva-gar hogā to kyā hogā
tahayyur meñ jo ġham zauq-e-nazar hogā to kyā hogā
mohabbat kā agar ulTā asar hogā to kyā hogā
nizām-e-zindagī zer-o-zabar hogā to kyā hogā
dalīl-e-'ām jab hai zindagī meñ inqalāb aanā
tū hī hamdam agar bedād-gar hogā to kyā hogā
patā detī hai har manzil pe ḳhud hī apnī manzil kā
mohabbat meñ na koī rāhbar hogā to gayā hogā
mazāq-e-zauq-e-sajda nā-mukammal rah nahīñ saktā
agar mā'dūm un kā sang-e-dar hogā to kyā hogā
musalsal baḌhtī jaatī hai mohabbat kī tapish dil meñ
batā denā zarā ai chashm-e-tar hogā to kyā hogā
mohabbat jabki fitrat hai to ġham kis baat kā 'rāfat'
balā se dard-e-dil dard-e-jigar hogā to kyā hogā
kisi parde mein koi jalwa-gar hoga to kya hoga
tahayyur mein jo gham zauq-e-nazar hoga to kya hoga
mohabbat ka agar ulTa asar hoga to kya hoga
nizam-e-zindagi zer-o-zabar hoga to kya hoga
dalil-e-'am jab hai zindagi mein inqalab aana
tu hi hamdam agar bedad-gar hoga to kya hoga
pata deti hai har manzil pe KHud hi apni manzil ka
mohabbat mein na koi rahbar hoga to gaya hoga
mazaq-e-zauq-e-sajda na-mukammal rah nahin sakta
agar ma'dum un ka sang-e-dar hoga to kya hoga
musalsal baDhti jati hai mohabbat ki tapish dil mein
bata dena zara ai chashm-e-tar hoga to kya hoga
mohabbat jabki fitrat hai to gham kis baat ka 'rafat'
bala se dard-e-dil dard-e-jigar hoga to kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.