kisi pe aisi bhi guzre kabhi KHuda na kare
kisī pe aisī bhī guzre kabhī ḳhudā na kare
ki apne hāthoñ ko taktā rahe duā na kare
kabhī kare na koī apnī hasratoñ kā shumār
agar kare bhī to ḳhvāboñ se ibtidā na kare
hamesha rahtī ho ta.abīr kī havas jis ko
vo apnī āñkhoñ ko ḳhvāboñ se āshnā na kare
qafas to hai ye magar chain se guzartī hai
sabā se kah do ki gulshan kā tazkira na kare
charāġh bujhnā hī Thahrā to ḳhud bujhā.eñge ham
hameñ bhī zid hai ki ye faisla havā na kare
'zakā' ye dard hai us kī atā so chāragarī
vahī kare to kare koī dūsrā na kare
kisi pe aisi bhi guzre kabhi KHuda na kare
ki apne hathon ko takta rahe dua na kare
kabhi kare na koi apni hasraton ka shumar
agar kare bhi to KHwabon se ibtida na kare
hamesha rahti ho tabir ki hawas jis ko
wo apni aankhon ko KHwabon se aashna na kare
qafas to hai ye magar chain se guzarti hai
saba se kah do ki gulshan ka tazkira na kare
charagh bujhna hi Thahra to KHud bujhaenge hum
hamein bhi zid hai ki ye faisla hawa na kare
'zaka' ye dard hai us ki ata so chaaragari
wahi kare to kare koi dusra na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.