kisi pe apna kamal zahir nahin karega
kisī pe apnā kamāl zāhir nahīñ karegā
vo fat.h se pahle chaal zāhir nahīñ karegā
jilau meñ le kar chalegā lashkar magar adū par
vo apnā jalva jalāl zāhir nahīñ karegā
use kabhī guftugū kī mohlat nahīñ milegī
jo aaj bhī dil kā haal zāhir nahīñ karegā
ye dil ki shaffāf aa.ina hī sahī magar ab
tirā mukammal jamāl zāhir nahīñ karegā
use huī hai ye pahlī pahlī shikast 'shahzād'
abhī vo apnā malāl zāhir nahīñ karegā
kisi pe apna kamal zahir nahin karega
wo fath se pahle chaal zahir nahin karega
jilau mein le kar chalega lashkar magar adu par
wo apna jalwa jalal zahir nahin karega
use kabhi guftugu ki mohlat nahin milegi
jo aaj bhi dil ka haal zahir nahin karega
ye dil ki shaffaf aaina hi sahi magar ab
tera mukammal jamal zahir nahin karega
use hui hai ye pahli pahli shikast 'shahzad'
abhi wo apna malal zahir nahin karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.