kisi pe qahr kisi pe itab ho ke raha
kisī pe qahr kisī pe itaab ho ke rahā
kisī pe lutf tirā be-hisāb ho ke rahā
bhaTak ga.ī thī vo ḳhud-sāḳhta ḳhudāoñ meñ
vo qaum jis pe ḳhudā kā azaab ho ke rahā
vo jis ne chhoḌ diyā us kā dāman-e-rahmat
vahāñ to kyā vo yahāñ bhī ḳharāb ho ke rahā
samīm-e-qalb se kī jis ne ittibā.a-e-rasūl
vo kā.enāt meñ izzat-e-ma.āb ho ke rahā
burā.iyoñ meñ guzārī ho zindagī jis ne
vajūd us kā zamīñ par azaab ho ke rahā
vo ik misāl the apnī shujā.atoñ ke sabab
koī na misl-e-shah-e-bū-turāb ho ke rahā
usī kā faiz hai mujh par usī kā lutf-o-karam
jo muñh se niklā mire vo shitāb ho ke rahā
bichhaḌ ga.e mire sab ham-safar akelā maiñ
ba-nām-e-azm-e-safar kāmyāb ho ke rahā
vo ġharq ālam-e-hairat meñ kyoñ na ho ai 'yās'
maiñ har savāl kā us ke javāb ho ke rahā
kisi pe qahr kisi pe itab ho ke raha
kisi pe lutf tera be-hisab ho ke raha
bhaTak gai thi wo KHud-saKHta KHudaon mein
wo qaum jis pe KHuda ka azab ho ke raha
wo jis ne chhoD diya us ka daman-e-rahmat
wahan to kya wo yahan bhi KHarab ho ke raha
samim-e-qalb se ki jis ne ittibaa-e-rasul
wo kaenat mein izzat-e-maab ho ke raha
buraiyon mein guzari ho zindagi jis ne
wajud us ka zamin par azab ho ke raha
wo ek misal the apni shujaaton ke sabab
koi na misl-e-shah-e-bu-turab ho ke raha
usi ka faiz hai mujh par usi ka lutf-o-karam
jo munh se nikla mere wo shitab ho ke raha
bichhaD gae mere sab ham-safar akela main
ba-nam-e-azm-e-safar kaamyab ho ke raha
wo gharq aalam-e-hairat mein kyon na ho ai 'yas'
main har sawal ka us ke jawab ho ke raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.