kisi se ab koi milne kisi ke ghar nahin jata
kisī se ab koī milne kisī ke ghar nahīñ jaatā
mirī āñkhoñ se guzre vaqt kā manzar nahīñ jaatā
bahut maġhrūr thā insān ḳhud apnī taraqqī par
qayāmat aa.ī ye kaisī koī bāhar nahīñ jaatā
havā kā ruḳh jidhar bhī hai charāġhoñ ko udhar rakh lo
ho jin meñ hausla un ko koī chhū kar nahīñ jaatā
zamāna vāqa'ī badlā huā lagtā hai ab mujh ko
yahāñ insān ab to chaar kāñdhoñ par nahīñ jaatā
tire darbār meñ hotā hai har ik faisla maulā
'adālat meñ tabhī to mas.ala le kar nahīñ jaatā
bahut mushkil hai dahshat aur nafrat ko baḌhā denā
siyāsat kī zabāñ se jab talak nashtar nahīñ jaatā
ho jab dil aazmā lenā mire sabr-o-tahammul ko
tumhāre zulm ke ḳhanjar se ab maiñ Dar nahīñ jaatā
hukūmat apnī āñkhoñ par pahantī haq kā chashma jo
tumhārī baat bhī rahtī hamārā sar nahīñ jaatā
kisi se ab koi milne kisi ke ghar nahin jata
meri aankhon se guzre waqt ka manzar nahin jata
bahut maghrur tha insan KHud apni taraqqi par
qayamat aai ye kaisi koi bahar nahin jata
hawa ka ruKH jidhar bhi hai charaghon ko udhar rakh lo
ho jin mein hausla un ko koi chhu kar nahin jata
zamana waqa'i badla hua lagta hai ab mujh ko
yahan insan ab to chaar kandhon par nahin jata
tere darbar mein hota hai har ek faisla maula
'adalat mein tabhi to masala le kar nahin jata
bahut mushkil hai dahshat aur nafrat ko baDha dena
siyasat ki zaban se jab talak nashtar nahin jata
ho jab dil aazma lena mere sabr-o-tahammul ko
tumhaare zulm ke KHanjar se ab main Dar nahin jata
hukumat apni aankhon par pahanti haq ka chashma jo
tumhaari baat bhi rahti hamara sar nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.