kisi se hath kisi se nazar milate hue
kisī se haath kisī se nazar milāte hue
maiñ bujh rahī huuñ ravā-dāriyāñ nibhāte hue
kisī ko mere dukhoñ kī ḳhabar bhī kaise ho
ki maiñ har ek se miltī huuñ muskurāte hue
ajiib ḳhauf hai andar kī ḳhāmushī kā mujhe
ki rāstoñ se guzartī huuñ gungunāte hue
kahāñ tak aur maiñ simTūñ ki umr biit ga.ī
dil o nazar ke taqāzoñ se muñh chhupāte hue
nahīñ malāl ki maiñ rā.egāñ huī huuñ 'nūr'
badan kī ḳhaak se dīvār-o-dar banāte hue
kisi se hath kisi se nazar milate hue
main bujh rahi hun rawa-dariyan nibhate hue
kisi ko mere dukhon ki KHabar bhi kaise ho
ki main har ek se milti hun muskuraate hue
ajib KHauf hai andar ki KHamushi ka mujhe
ki raston se guzarti hun gungunate hue
kahan tak aur main simTun ki umr bit gai
dil o nazar ke taqazon se munh chhupate hue
nahin malal ki main raegan hui hun 'nur'
badan ki KHak se diwar-o-dar banate hue
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 08.08.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.