kisi se ishq-e-dushman ka gila kya
kisī se ishq-e-dushman kā gila kyā
nahīñ jab rabt to phir mudda.ā kyā
har ik shai meñ tujhī ko dekhte haiñ
hamāre vāste achchhā burā kyā
zarūrat kyā hai samjhe kaun zāhid
ravā kyā hai yahāñ par nā-ravā kyā
use zālim samajh kar dil diyā thā
to phir ab kam-nigāhī kā gila kyā
ġham-e-duniyā kī maanā hai davā ishq
magar phir dard-e-ulfat kī davā kyā
bahut pachhtā.e tum se dil lagā kar
ba-juz ranj-o-alam ham ko milā kyā
na hogī kyā kabhī ummīd puurī
na hogā mehrbāñ vo be-vafā kyā
sabhī insān haiñ allah ke bande
jahāñ meñ āshnā nā-āshnā kyā
faqat ik dil hai vo hai nazr terī
hamāre paas hai is ke sivā kyā
nigāh-e-nāz se dil bach bhī jaa.e
magar ghāyal na kar degī adā kyā
luTā kar chal diyā ghar-bār 'hājir'
use baiThe biThā.e ye huā kyā
kisi se ishq-e-dushman ka gila kya
nahin jab rabt to phir muddaa kya
har ek shai mein tujhi ko dekhte hain
hamare waste achchha bura kya
zarurat kya hai samjhe kaun zahid
rawa kya hai yahan par na-rawa kya
use zalim samajh kar dil diya tha
to phir ab kam-nigahi ka gila kya
gham-e-duniya ki mana hai dawa ishq
magar phir dard-e-ulfat ki dawa kya
bahut pachhtae tum se dil laga kar
ba-juz ranj-o-alam hum ko mila kya
na hogi kya kabhi ummid puri
na hoga mehrban wo be-wafa kya
sabhi insan hain allah ke bande
jahan mein aashna na-ashna kya
faqat ek dil hai wo hai nazr teri
hamare pas hai is ke siwa kya
nigah-e-naz se dil bach bhi jae
magar ghayal na kar degi ada kya
luTa kar chal diya ghar-bar 'hajir'
use baiThe biThae ye hua kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.